Archive

Mere Daada daadi....

1 min read Originally published on Blogspot, 2008

Original image from the 2008 archive post "Mere Daada daadi....".

Ye wo do log hain jinhone meri kalpana kii thi kabhi…
ye wo do log hain jinhe main is duniyaa mein sabse zyaada pyaar karta hoon…
Ye wahi do log hain jinki aankhon ka taara hoon main…
Ye wahi do log hain jinhone jise main pariwaar kahta hoon, iski rachna ki hai…

Miliye, Shri Akhouri Brij Nandan Sahay(97) aur Shrimati Krishna sahay(87) se, mere poojya daada daadi…
Bhagwaan, kripya mere daada daadi ko aur deerghaayu kariye taaki wo meri safalta ka anand le sakein…unka aashirwaad sadaiv mere upar banaa rahe…yahi praarthna karta hai sakht jaani…

Sa-aadaar pranaam,
Akhouri Piyush Raj Shrivastava

— Piyush

Thoughts

Loading thoughts…