Archive

Kya Khuda Krishna Nahiin hai?

1 min read Originally published on Blogspot, 2011

Golden flute and spiritual figures in a surreal landscape of divine unity

Tumko jab bhi Dar sataave,

Neend bhi tukDon mein aave,

MushkileN jhakjhor dein jab,

Aatma bhi kaanp jaave,

Door baitha wo, kahiin

Chupchaap, tumko bhaanp jaave,

Us ghadi, jab door se, kisi

Baansuri ki taan aave.

Raat ki chaadar udhaakar,

Neend ka takiya banaakar,

Aankh mein sapne sajaakar,

Saans ki lori banaakar,

Jo tumhe jhat se sulaa de,

Kya khuda mein Maa nahiin hai??

Kya Khuda Krishna nahiin hai??

तुमको जब भी डर सतावे,

नींद भी टुकड़ों में आवे,

मुश्किलें झकझोर दें जब,

आत्मा भी काँप जावे,

दूर बैठा वो, कहीं,

चुपचाप, तुमको भाँप जावे,

उस घड़ी, जब दूर से, बन

बाँसुरी की तान आवे.

रात की चादर उढाकर,

नींद का तकिया बनाकर,

आँख में सपने सजाकर,

साँस की लोरी बनाकर,

जो तुम्हे झट से सुला दे,

क्या ख़ुदा में माँ नहीं है??

क्या ख़ुदा कृष्णा नहीं है??

-सुखनवर सख़्त-जानी

— Piyush

Thoughts

Loading thoughts…